Ek boondh jo baadalon se giri,
Use Maine dekh Kar bhi andekha kar diya
Dar tha ki boondh dekh Leta,
Toh use apne hatheli se rok Leta,
Ya phir apne katori mein jod leta.
Yun hi nazar andaaz rehene mein,
Maine kuch paaya bhi aur nahi bhi
Boondh se nikli kavita, par main bheega nahi.
Waqt aur boonden zameen mein samaa rahe hai,
mujhe lakeer ke us Paar Kadam rakhna hoga
Jahan main boondh girne se pehele usmein poori
tarahse bheeg jaaun.
Amazing and so vivid...आपका ये भीना सा ख्याल बेहद खूबसूरत है...लकीर के उस पार जानें के बाद अपनें जज़्बात ज़रूर लिखना...
ReplyDelete