Sunday, October 12, 2014

Badhne ka bhram




Humein hadd paar karni hai,
Moksh ki hadd, kshamata ki hadd, acche banne hi hadd
Humein baddhane ki hadd paar karni hai

Hum, jhaad, phool, nadion aur titlion se bhi yahi seekhten hai
Aur hum bus, bhadhne ki rat lagayen phirten hain

Humara junoon, waqt, soch, tarkeeb, tatvagyaan
Yehh sab hai humare badhne ka agyan

Badhata sirf phool, ped aur mor nahi,
Bhadhti toh hai rail ki patari bhi

Har safar mein apni neev jamaata,
Kale patharon mein apanaa vajood baanaata

Gatii mein doobi railgadi jab garv se seena taanti,
Rail ki patari, kunthit ho use aadhaar pradaan karti

Ek mathan humaare andheron mein buniyaad banaa raha
Iske patte dekh, main apne badhne ka abhimaan jataa rahaa

Badhnaa, badhaana, toh bus ek dikahavaa hai
Asal mein toh yeh who sangeet boonta hai
Joh, humen pehechanta hi nahi, bus apnihi dhuun banata hai







1 comment:

  1. Wah..Kya Gehre Khayaal !!...Badi Badhiya hai yeh Badhne per Kavita :)

    ReplyDelete