Sunday, October 23, 2011

Chandu Chitrkaar



Chandu ka bus thaa ek pyaar,
ek din woh banega sabse achha chitrakaar,

Apne janamdin par usne ek chitti kholi
aisa laga ki uski kismat khulkar boli

bheja hai maine tujhe, ek sundar frame,
usme bharna woh chitr jisase ho sabse jyaada prem,

Pakit mein bhar kar paint brush ke gucche,
ek kora kagaj aur rangon ko daboche,

chal pada chandu apni cycle par savaar
apna sub se sundar chitra banaane ke liye taiyaar

dekhe usne bade bade jhaad,
unpar fulon ke rang karte sawaar,

kile ka bas tha ek bhura rang,
lekin geherai use khilaati apne sang

Chandu lekin tha santosh nahi,
Socha kyun naa kuch aur hi sahi.

Cham Cham karti cycle uski na ruki,
kuch toh thi har chitra mein kami

rangon mein doobe motor car,
na raas aayee use nadi, pahad ya phoolon ki bahaar

paaye unmein sundarta apaar,
par nahi tha unmein Chandu ka pyaar.

Udaas woh lauta ghar jab hui raat,
saath uske tha woh kora kagaz aur do saaf haath

Apne chehere ko hanthon mein dubaaye
Socha usne, "ki koi dhrishya use kyun nahi raas aayee"

Tab usne apne andar se avaaz suni
ki sabse sundar drishya to usne dekhe abi

woh bade bade jhaad, woh phool, woh phal,
unhone jiyaa tha apna har ek pal

us kile ka bhoora rang, tha hazaron saalon ka bharna,
un pathro ka kadi dhoop ko sahana, phir bhi na tootna ya bikharna.

Bus tab Chandu ka sabse sundar drishya uske ankho mein khila
Chandu aakhir apne chitra se apne angan mein mila

Lambi lakiren, woh peela rang, bhoori katorian aur unke sang
kuch safed gucche, peele mein chupte chupaate, aur kuch bhoora rang

Ho gayi Chandu Chitrakaar ka chitra tayaar
Chandu ke maa ki tasveer, uska ek hi pyaar.

No comments:

Post a Comment